ajab pani hai

ajab pani hai
ajab mallah hai

surakh se be-fikr
aasan mar ke

kashti ke ek kone mein baitha hai
ajab pani hai

jo surakh se dakhil nahin hota
koi mauj-e-nahufta hai

jo pende se
kisi lakdi ke takhte ki tarah chipki hai

kashti chal rahi hai
sar-phiri lahron ke jhule mein

abhi ojhal hai
jaise dubti ab dubti hai

jaise batn-e-ab se
jaise talatum ki siyahi se

abhi nikli hai
jaise raat-din

bas ek hi aalam mein
kashti chal rahi hai

kya ajab kashti hai
jis ke dam se ye pani rawan hai

aur us mallah ka dil naghma-khwan hai
kitne tapu rah mein aae

magar mallah
khushki ki taraf khinchta nahin

nazara-e-raqsandagi khwab mein
shamil nahin hota

ajab pani hai
jo surakh se dakhil nahin hota


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close