akaD shah ki zehanat

akad shah ne doston se kaha
mujhe to zehanat hui hai ata

kaha doston ne akad shah se
wo phansta hai aksar akad ho jise

akad kar akad shah kahne laga
akad mere andar nahin hai zara

main kyon khud ko be-aql-o-majnun kahun
tawazoa ki khatir ghalat kyon kahun

tabassum chhupa kar kaha dost ne
agar tu kahe aazmaen tujhe

zahin hai to de hum ko tu barah sau
samajhdar gar hai to de gyarah sau

akad shah bola na manunga haar
mere pas kal aana ai mere yar

main teis dene ko tayyar hun
ki main to zahin aur samajhdar hun

kaha dost ne ai zahin chal bata
bani murghi pahle ki anda bana

akad shah pahle hansa phir kaha
jawab us ka bilkul hai aasan sa

mujhe pahle murgha banaya gaya
waraq par phir anda banaya gaya

phir ek din usi dost se jab mila
to wo dost us se ye kahne laga

bahut hi bade ho gae baal ab
hajamat karaoge tum apni kab

bulaya tumhein goya hajjam ne
dukan us ki dekho wo hai samne

magar tund bilkul na karwana tum
ki ho jati hai thand mein sitti gum

akad shah hajamat karane chala
ki ye mashwara us ko achchha laga

jab agle din us dost se wo mila
use pa ke ganja wo hairan hua

kaha dost ne bhai ye kya kiya
ye kis ne tujhe pura ganja kiya

bataya akad shah ne hanste hue
ki hajjam ke pas khulle na the

diye main ne hajjam ko sau rupae
kate the mere baal bas tis ke

kaha main is se na ghabra zara
tu sattar ka ab pher le ustura

'usama' se qisse akad shah ke
na jaoge sun kar bina wah ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close