alaw

charagh imroz bujh raha hai
dhuen ki maujen ubhar rahi hain

shab-e-siyah muntazir khadi hai
andhera chup-chap chha raha hai

abhi hamare gharon ke andar
sulag uthenge alaw apne hi jism indhan ka kaam denge

gharon se bahar
shajar pe ullu ki sard chikhen

hansnegi hum par
ki naghmagi koi shai nahin hai

ki zindagi koi shai nahin hai
khandar ki jaanib nazar uthao

ye dur se kitna khubsurat dikhai deta hai pas jao
to maut ki ek dastan hai

jamal-e-shab wahima hai ai dil
hamari basti mein rahne wale

purane mai-khwar waqif-e-dard-o-gham nahin hain
hamin hain donon

ye main ye tu hum jalenge shab-bhar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close