asiri

din baadal hai apni rau mein chalta hai
raat aangan hai apne andar khulti hai

jis aan tum is mitti par ya mitti mein aae the
wo din tha raat thi

ya din-raat se milne ki ek azali abadi koshish thi
ya suraj chand-gahan tha

ya pakki puri barish thi
din baadal barish raat gahan

ek ghar aur ek asir
ab raat ke khwab se mat darna

aur din ke gham mein mat sona
ab hansna aur hanste mein mar jaana

jaise aksar marne wale sote mein mar jate hain
ab hansna aur hanste mein mar jaane se mat darna

is aan se kya har aan yahi
din baadal barish raat gahan

ek ghar aur ek asir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close