aur pani Thahar gaya

aur pani thahar gaya aankhon mein chehra siyah hua
aur aankhen phail gain

aur aankhen phail gain aankhon mein hona gunah hua
us din sare likhne wale ghar aae aur lut gae

aur sab ki aankhen thahar gain aur sab ka chehra phail gaya
mahi-giron ne us din be-andaza jal bune

aur bachche bhuke hi soe
aur maen bistar ban kise chup let gain

aur jab mahi-giron ki basti mein raat aai
sab jal samete ghar aae aur laut gae

aur sab ki aankhen thahar gain aur sab ka chehra phail gaya
ye raat samundar par se ho kar aai thi

so beach samundar thahar gai
us raat ki jis ne baat likhi wo ghar na gaya

wo beach samundar thahar gaya
wo mitti ki zanjiron se aazad hua

so aane wala kal jo nahin hai us ka hai
jab barf saron par aaegi tum jagoge

aur pichhle uni moze kaam na denge
aur shaalen sarsar khulti jaengi

aur biwiyan dar kar uthengi
ai pichhli rut ke chalne wale lut chalo

murde mardon ko khud dafn karenge
jab bache shakhon par palte hon barish ka kya khauf

han barish sagar ka pahla harkara hai
aur kilon ki ye jodi ladke kal tak sath na degi

wo aankhen miche hansti hai aur soti hai
ladke jaldi ghar aa jaana

pani thahar gaya hai
aur ladka ghar na gaya

wo ladka ghar na gaya
aur dekhne walon ne dekha

wo barf ke tude khinchta tha aur rota tha
aur ghar pani ke beach jhakole khata tha

pani jo thahar gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close