aurat

badhati hun qadam
fauran hi pichhe khinch leti hun

ye andesha mujhe aage kabhi badhne nahin deta
na-jaane log kya sochen

na-jaane log kya bolen
isi ek khauf ke ghere mein jiti aur marti hun

magar kab tak
tashakhkhus ke liye apni zaruri ho gaya hai ab

uthun aur kat dun ek ek kar ke bediyan sari
baghawat kar dun duniya ki

sabhi farsuda rasmon se
har ek dastur-e-beja se

khuda ne jab kisi se mera rutba kam nahin rakkha
to kis ne haq diya un ko

mujhe zanjir pahnaen
zaban kholun jo apne waste tala laga jaen

mujhe malum hai meri muqarrar had kahan tak hai
mujhe hai pas apni hurmat-o-qadr-o-riwayat ka

wafa namus-o-iffat ka sharafat aur azmat ka
ki ye aqdar mere panw ki bedi nahin hargiz

inhin aqdar ke hamrah mujh ko aage badhna hai
mila hai haq mujhe bhi

waqt ke hamrah chalne ka
khud apne khwab bunne ka

inhen tabir dene ka
ye duniya mere hathon se qalam jo chhin leti hai

hamesha chulhe-chauke tak hi bas mahdud rakhti hai
ise shayad yahi khadsha satata rahta hai har-dam

meri ye aagahi mujh ko nai pahchan de degi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close