ba-shart-e-ustuwari

khun-e-jamhur mein bhige hue parcham le kar
mujh se afrad ki shahi ne wafa mangi hai

subh ke nur pe tazir lagane ke liye
shab ki sangin siyahi ne wafa mangi hai

aur ye chaha hai ki main qafila-e-adam ko
tokne wali nigahon ka madad-gar banun

jis tasawwur se charaghan hai sar-e-jada-e-zist
us tasawwur ki hazimat ka gunahgar banun

zulm parwarda qawanin ke aiwanon se
bediyan takti hain zanjir sada deti hai

taq-e-tadib se insaf ke but ghurte hain
masnad-e-adl se shamshir sada deti hai

lekin ai azmat-e-insan ke sunahre khwabo
main kisi taj ki satwat ka parastar nahin

mere afkar ka unwan-e-iradat tum ho
main tumhaara hun luteron ka wafadar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close