bachchon ki muskan

kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan
hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan

kal ye mahakte phul banenge aaj hain nannhi kaliyan
saya un par kiye hue hain aashaon ki pariyan

zahrile kanton se na uljhen ye nannhi si jaan
kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan

hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan
nannhi munni komal kaliyan kahin na murjha jaen

khushbu mahke kyari kyari mahken aur mahkaen
gulshan ke sab rakhwalon par farz hai un ka dhyan

kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan
hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan

jiwan mein ujyala in se ye dharti ke tare
gore hain ya kale hain ye bachche pyare pyare

maon ki mamta se puchho sab hain ek saman
kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan

hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan
basti basti nagar nagar ye amrit jal barsao

jiwan jot jalao har su ilm ka dip jalao
jab hon bade ye aaj ke bachche niklen sab widwan

kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan
hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan

sehat ki sundarta paen sab ko rang-o-rup mile
taza hawa bharpur ghiza ho in ko sunahri dhup mile

phule phale parwan chadhe ye bhaarat ki santan
kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan

hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan
amn ki thandi chhanw mein khelen in ko sab ka pyar mile

dukh na inhen pahunchae koi in ko sukhi sansar mile
des ki sari maen dil mein rakhti hain arman

kaisi suhani kaisi rasili bachchon ki muskan
hanste aur muskate bachche bhaarat des ki shan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close