bachpane ki yaad

ai bachpane ki duniya to yaad aa rahi hai
dil se meri sada-e-fariyaad aa rahi hai

rahat suna rahi thi afsana saltanat ka
thi man ki god mujh ko kashana saltanat ka

wo ghar ki dur jis se thi gardish-e-zamana
aazadiyon ka meri aabaad aashiyana

phirti hai ab nazar mein taswir us makan ki
arsh-e-barin se behtar thi sarzamin jahan ki

nazuk-mizaj ban kar wo ruthna machalna
sehn-e-makan mein din bhar wo kudna-uchhalna

allah-re wo takhayyul allah-re saz-o-saman
duniya ki saltanat thi is zindagi pe qurban

us ahd-e-afyat mein ek bar phir sula de
ai mere ahd-e-mazi phir ek jhalak dikha de

bagh-e-jahan mein rakkha un shadiyon ne mujh ko
rahat ki loriyan din aazadiyon ne mujh ko

be-fikr zindagi thi khud hosh mujh ko kab tha
ek kaif-e-be-khudi tha mast-e-mai-e-tarab tha

ai umr-e-rafta tu ne ki mujh se be-walfai
aa ja palat ke dam bhar main hun tera fidai

dil mein shararten thin kaise ghazab ki pinhan
rag rag mein bijliyan thin josh-e-tarab ki pinhan

hun apni zindagi ka andaza karne wala
jannat se la ke tu ne dozakh mein mujh ko dala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close