baDe bhayya

main chhota hun mere bhayya bade hain
jahan dekho wahin sar par khade hain

mujhe har waqt karte hain nasihat
na jaane kyun mere pichhe pade hain

mujhe padhne ko yun kahte hain aksar
ki jaise khud wo ma tak padhe hain

padhate hain wo jab tarikh mujh ko
main ye kahta hun ye sab qisse gadhe hain

karen 'irfan' ab hum kis se shikwa
wo papa ke bahut hi sar-chadhe hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close