bahaar ka mausam

na garmiyon ka zor hai na sardiyon ki mar hai
na dhup tan pe bar hai na thand nagawar hai

hawa bhi khush-gawar hai na garm hai na sard hai
na bijliyan na aandhiyan na abr hai na gard hai

hain sabza-zar in dinon pahad dasht aur ban
hai sach to yun bahaar par hai aaj-kal chaman chaman

hain jangalon mein sabz sabz khet lahlaha rahe
ajab ada se jhum jhum kar hain dil lubha rahe

faza mein dilkashi hi kuchh ye aa gai hai ab nai
nazar padi jo khet par to khelti chali gai

khizan ne pedon ke libas phenke the utar kar
dulhan bana diya unhen bahaar ne sanwar kar

chaman ke phul dekh kar hamari aql dang hai
banafshai safed surkh zard un ka rang hai

dilon mein hai kuchh aaj-kal umang si bhari hui
masarraton ke josh se kali kali khili hui

nikhar gain mahawaton ki barishon se pattiyan
nithar nithar ke saf ho gain tamam naddiyan

hain pedon mein chhupe hue parind chahchaha rahe
khuda ki shan dekh kar khushi se hain wo ga rahe

ye lutf dekh dekh kar zaban pe bar bar hai
ye mausam-e-bahaar hai ye mausam-e-bahaar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close