hilal-e-mah-e-ramzan dekh kar

mah-e-rahmat ki khabar kis ke liye laya hai tu
kaun tera muntazir tha kis liye aaya hai tu

dekhne honge ye din tu ne kabhi socha na tha
dekh wo manzar jo is se peshtar dekha na tha

ab kisi ko aatish-e-dozakh ka koi dar nahin
barish-e-rahmat mein bhi daman kisi ka tar nahin

jab khuda ka dar nahin to fikr-e-uqba kyun rahe
farigh-ul-baali mein koi bhuka pyasa kyun rahe

dekh le is daur mein hain aise roze-dar bhi
khate hain hotel mein din bhar karte hain iftar bhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close