batao main kya hun

chamakta hun har roz main aasman par
dikhata hun duniya ko yun apne jauhar

nahin samne mere tikta andhera
mere dam se hota hai jag mein ujala

ishaare se mere badalte hain mausam
guhar mujh pe apne lutati hai shabnam

mere rab ne taufiq bhi ye mujhe di
pakata hun faslon ko yani tumhaari

barasta hai pani meri koshishon se
hare jis se rahte hain ped aur paude

kali mere aane se khilti hai dil mein
zamane ko hai raushni mujh se milti

gharaz ye samajh lo ki raushan diya hun
mere pyare bachcho batao main kya hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close