be-KHwab masafat

ek do pal to zara aur ruko
aisi jaldi bhi bhala kya hai chale jaana tum

sham mahki hai abhi aur na palkon pe sitare jage
hum sar-e-rah achanak hi sahi

muddaton baad mile hain to na milne ki shikayat kaisi
fursaten kis ko mayassar hain yahan

aao do-chaar qadam aur zara sath chalen
shahr-e-afsurda ke mathe pe bujhi sham ki rakh

zard patton mein simatti dekhen
phir usi khak-ba-daman pal se

apne guzre hue kal ki khush-bu
lamha-e-haal mein shamil kar ke

apni be-khwab masafat ka izala kar len
apne hone ka yaqin

aur na hone ka tamasha kar len
aaj ki sham sitara kar len


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close