beTa biswin sadi ka

bete ko pahle kahte the aankhon ka nur hai
lekin ye ab hamari nazar ka qusur hai

kuchh dil se ehtiram nahin waldain ka
bezar apne din se mazhab se dur hai

collage to darkinar jo hain dini madrase
aadab-e-maghribi ka yahan bhi zuhur hai

kuchh maqsad-e-hayat na khauf-e-khuda use
jannat ki aarzu hai na mushtaq-e-hur hai

b-a mein padh raha hai ye knowledge ka haal hai
naqshe mein lucknow ko kahe kanpur hai

bete mein chahe lakh kharabi ho 'mukhtasar'
shadi ke waqt bais-e-income zarur hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close