bhagalpur-2

ye teri shakl hai ki chand ka raushan chehra
ye sitare

teri aankhon se damakte kyun hain
ye teri shokh adaon si

sanakti purwa
jo mere sar se dupatte ko gira deti hai

khushk baalon ko zara aur uda deti hai
ye teri yaad ke jugnu hain

ki shabnam qatre
jis se be-khwab nigahon ki

zamin gili hai
koi aahat na hi dastak ki gali suni hai

gar mujhe
waqt ke tewar ka pata jo hota

ghar ki dahliz se bahar nahin jaane deti
sare darwazon

darichon ko muqaffal rakhti
suni aankhon mein chhupa leti main

kajal ki tarah
apni banhon ke hisaron mein muqayyad rakhti

mere bachche
jo mujhe kash khabar ye hoti

ek do pal mein mera shahr hai jalne wala


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close