bhai-chaara

jang chhidi ho sarhad par ya kahin lagi ho aag
pura ho arman kisi ka ya so jaen bhag

meri bin juda hai sab se meri juda hai rag
meri duniya khel tamasha main hun munna pyara

sab ke dil ki rahat hun main sab ki aankh ka tara
main roun to mujh ko ghar ke sare log manaen

main soun to mere sapnon mein pariyan aa jaen
main jagun to mujh ko ammi apne gale lagaen

main gaun to gae jaise ye aalam hi sara
sab ke dil ki rahat hun main sab ki aankh ka tara

duniya ke sare bachchon ka yaksan hai afsana
mere hi jaisa hai sab ki fitrat ka paimana

milti-julti si aadat hai rona ho ya gana
meri manzil pyar mohabbat mera sapna nyara

sab ke dil ki rahat hun main sab ki aankh ka tara
meri duniya jang nahin hai kaisi hatha-pai

ho koi hindu ya muslim sikh ho ya isai
meri nazar mein sab yaksan hain sab hain mere bhai

mere jaise bachchon ka mazhab hai bhai-chaara
sab ke dil ki rahat hun main sab ki aankh ka tara


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close