us ne kaha tha chhoti si farmaish hai! main ne kaha tha bholi-bhaali khwahish hai! us ne kaha tha ruh mein kharish hoti hai main ne kaha tha jismon ki sazish hoti hai us ne kaha tha baadal kale hote hain main ne kaha tha bijli gori hoti hai! is ne kaha tha jab donon takraate hain!! main ne kaha tha phir to barish hoti hai!!!! us ne kaha tha barish mein chhinte padte hain main ne kaha tha kapde bhi gile hote hain is ne kaha tha bhigne wala hai mausam main ne kaha bhag nahin paenge ham!! sara aalam bhig raha tha barish mein apne apne zarf mein, apni khwahish mein sharabor the hum donon rafta rafta andar bahar bhig gae jasta jasta jazbon ka sabun, ehsas ka pani tha barish ke do bhige tan par dhup utarne wali thi dhula dhula fitrat ka sara manzar tha par phailae do panchhi be-sudh the ghaib ki masti mein!! sunte hain: phir aag lagi thi basti mein!!!!