bich bhanwar se lauT aaunga

pagal samjha hai kya mujh ko
dub marun main

aur sab is manzar se apna dil bahlaen
bachchon ko kandhon par le kar

uchak uchak kar mujh ko dekhen
hansi udaen

lakh meri apni wajhen hon jaan dene ki
lekin phir bhi

dil mein mere bhi hai wo be-mani khwahish
jate jate sab ki aankhen nam karne ki

meri samajh se
itna haq to hai

jaan dene wale ka duniya walon par
shirkat kar len

wo is pal mein thoda sa sanjida ho kar
jaan dene aaya hun lekin

ye batla dun
jaan lada dunga main jaan bachane mein gar

ek tamasha dekhne wale ko bhi hansta dekha khud par
laut aaunga

keh deta hun
aisa kuchh bhi agar hua to

bich bhanwar se laut aaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close