bij andar hai lekin main bahar hun apni zamin se faqat musht do musht upar khala mein uga hun meri koi jad hi nahin hai nahin ilm talif ki raushni ne hawa aur pani ne kis tarah sincha nami kaise mere masamon mein aai judai sahi main ne kaise muqarrar jo azalon se tha bich ka fasla wast na wast ka marhala main ne kaise gawara kiya aasman ke tale main ne dharti pe phaile hue ek sondhi si khushbu mein lipte hue lahlahate jahanon ka khushk aur banjar zamanon ka kaise nazara kiya chand kanton ki sui se kaunain ke apne qutbain ke pech-o-kham mein wajud-o-adam mein jali aur khafi sare abaad ki samt kaise ishaara kiya main ne kaise ba-yak waqt apni fana aur baqa se kinara kiya bij andar hai kaise samajh paega be-numu o numu-kar duniya mein mujh jaise paude ne kaise guzara kiya