billi-dan

chuhon ne ek roz bulaya billi ko mehman
aur dikhai lakdi ki ek building aali-shan

billi thi hairan
phir ek chuha us se bola kahiye khala-jaan

dudh malai khaengi ya phal sabzi aur nan
ba'd mein chae pan

donon baaten karte jaise hi building mein pahunche
dusre chuhe ne darwaza band kiya bahar se

hosh ude billi ke
billi ne ghabra kar darwaze ki jaanib dekha

andar wala chuha bhi phurti se bahar nikla
khushi mein kuda uchhla

pahle to ghurrai billi phir samjhi nadan
lalach ka anjam yahi hai khatre mein hai jaan

ye hai billi-dan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close