bint-e-hawwa

bint-e-hawwa hun main aurat hai mera ism-e-sharif
hai ye pahchan meri aur yahi hai tarif

mujh ko hai fakhr ki us qaum se nisbat hai meri
fatima mariyam-o-sita si hain rahbar jis ki

main bhi ashraf hun nigahon mein khuda ki mere
meri to god mein khele hain masiha kitne

kitne waliyon ne mere hath ki roti khai
kitne shahon ne mere panw mein jannat pai

main hi patthar ke makanon ko banati ghar hun
main hi duniya-e-mohabbat ka hasin mehwar hun

mere ausaf ginane ko ye kaghaz kam hain
sinf-e-nazuk hun magar ruh meri rustam hai

main ne jazbon ka tasadduq wa bharam rakkha hai
meri hi zat se mansub har ek rishta hai

man bahan hun kabhi biwi to kabhi beti hun
koi kirdar ho mardon se wafa karti hun

han magar shart-e-wafa ye hai ki paun bhi wafa
main bhi insan hun kamtar nahin rutba mera

aur rishton se alag bhi hai meri ek hasti
jo faqat ghar mein hi mahdud nahin rah sakti

ghuncha-o-gul se bhi kab chahiye tashbih mujhe
husn-e-sirat se mere dijiye tarjih mujhe

meri zulfon mere kajal ki na baaten kariye
kuchh mere zauq-o-zehanat ko bhi achchha kahiye

haisiyat ho nahin sakti nazar-andaz meri
rok sakta nahin ab koi bhi parwaz meri

aasman kya hai khala tak hai rasai meri
azm de sakta hai khud badh ke gawahi meri

be-nazir indara aur kalpana aur hir hun main
apne har khwab ki ab jagti tabir hun main

mera hargiz nahin kahna mujhe bartar samjhen
mard hazraat mujhe sirf barabar samjhen

main chalun shana-ba-shana to bura mat manen
meri hurmat meri azmat ko zara pahchanen

bint-e-hawwa hun 'hina' baat badi hai meri
nam aurat hai mera zat badi hai meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close