dard uruj par aa jae to

aa ri mail kuchaili
bhuki nangi duniya

main ne ek din teri qimat
ek kam besh rupae rakkhi thi

apne kahe par aaj bahut sharminda hun
aa main tere sang

ek aakhiri raqs karun
aag aur dhuen ki aamezish se

sidra-bos darakht banaen
aur phir us ke sae tale

hum garjile giton ki lai par
chhati se chhati takraen

qadam se qadam milaen
kya itraata manzar hai

charchar karte mas ki boss mein
aawazon ka kya nayab khazana hai

ye ek aisi simfani hai
jis mein khauf nahin hai

dard uruj par aa jae to
khauf kahan rahta hai

aah karah ka aisa sangam
lafzon mein kis ne bandha hai

jism-o-sada ke aise aise daere
ban jate hain jin mein

azali nir tak abad mughanni khud bhi kho jate hain
aa hum chaaron samt mein

aag laga den
dariya aur samundar bhak se uda den

khud ko bhasm karen
ai ri duniya

teri karahat se mujh ko
kuchh ishq hi aisa hai

main marta hun
tu bhi mar ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close