december ki aawaz

december chikhta hai jab ragon mein
lutf se aari pareshan mahfilon mein

mujh ko wo badnam dushman yaad aata hai
jo mere khun ka pyasa gali se jab guzarta tha

mere aasab mein ek sansani si daud jati thi
main is lamhe ki barham aag mein jalta hua

mahsus karta tha
main zinda hun musalsal hun

main zinda hun musalsal hun
wo dushman mar gaya

ya doston aa aa mila
mein sochta hun puchhta hun

kaun batlaega
mere fikr aur ehsas ki be-samt rau

bahti hai roz-o-shab
december chikhta hai ab

kahan manzil kahan manzil


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close