dimak

karam-khurda kaghazon ke dher mein madfun hai
chatta hai harf harf

daere qausain san tarikh aadad o shumar
nuqta o zer-o-zabar tashdid o mad

hasil-e-binai o zauq-e-nazar
bandhta hai wahm o takhmin o guman ke kuchh hisar

chumta hai katba-e-lauh-e-mazar
chand nuqte ud gae hain lafz kuchh kawak hain

us ki nazron mein khazina ilm ka khar o khas-o-khashak hain
kya alaem kya rumuz ishkal alfaz o huruf

aatish-e-taghair ke hathon pighal jate hain sab
waqt ki bhatti mein tap kar ek nae sanche mein dhal jate hain sab

lamha lamha munkashif hota hua sar-e-hayat
munjamid alfaz ke sine mein apna nur phailata nahin

karam-khurda kaghazon ki lash mein
khun apna daudata nahin

karam-kaghaz hai harif-e-roz-o-shab
chatta hai fuzla-e-ilm-o-adab

aur sar akdae khallaqan-e-mani ki taraf khanda-ba-lab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close