dost

us se jab kahta hun main
mera ek

nanha-munna dost hai
puchhta hai kaun hai

samne ki dant us ke
aath

sab shaffaf moti
mishalen

us ki sharir par aankhon mein raushan
lab pe us ke

nit-nae taza hasin alfaz
shair awwalin shair

tilsmati zaban ka awwalin shair
wo sheron hathiyon gendon

sunahri battakhon ki bandaron ki hamd gata hai
khilauna gadiyon mein

shahar ki masruf sadkon par
mujhe aur man ko ammi aur abba ko ghumata hai

meri baaton pe mera nanha-munna dost hansta chachahata hai
main nanha dost hun

main hi wo nanha dost hun
main dost hun

main dost hun
main puchhta hun mera nanha dost

mujh se pyar karta hai to kitna pyar karta hai
wo bazu kholta hai aur zamin-o-asman

un mein chhupa kar mujh se kahta hai
bahut karta hun itna dher sa itna bahut karta hun

ghoda ruk gaya
mera kabutar ud gaya

chidiya jo dana kha gai
wo main bhi khaunga

gilahri so na jae aur bandar
un ko main biscuit khilaunga

mujhe tota dikhao
sabz chonch aur surkh tota

richh kutta bhediya billi ka bachcha
un ki taswiren kahan hain

aaj un ke pas jaunga
unhen main un ki taswiren dikhaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close