dua aur bad-dua ke darmiyan

dua aur bad-dua ke darmiyan jab rabte ka pul nahin tuta
to main kis tarah pahuncha bad-duaen dene walon mein

main un ki ham-nawai par hua mamur
ham-awaz hun un ka

ki jin ke nama-e-amal mein in bad-duaon ke siwa kuchh bhi nahin
un ke kahe par aaj tak baadal nahin barse

kabhi mausam nahin badle
koi tufan, koi sailab un ki aarzuon se nahin palta

ye nadan, sare maqtulon ki fihristen uthae aasman ko dekhte hain
aur samajhte hain ki duniya un ke nam aur shakl-o-surat bhul jaegi

wagarna qatilon ko khud-kushi karna padegi
aur ye itne bahadur bhi nahin hote

to jab tak aasmanon aur hamare darmiyan hail
hujum-e-qatilan chhatta nahin hatta nahin parda

dua aur bad-dua ke lafz ham-mani rahenge
ab dua-e-zindagi qatil ko den

ya bad-dua khud ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close