duniya to ye kahti hai bahut mujh mein hunar hai main chahun to duniya ko chaman-zar bana dun aa jata hai in baaton mein duniya ke mera dil jut jata hun main kaam mein ji-jaan laga kar phir be-khabari had se guzar jati hai meri batta nahin chal padta hun jab apni dagar par ye dekh ke kuchh roz to chup rahti hai duniya de jati hai nagah magar mujh ko dagha bhi is darja khafa hoti hai wo meri rawish se hoga na kabhi itna khafa mera khuda bhi duniya ko nazar aate hain na-waqt bhi mujh mein wo aib ki phir kuchh mujhe karne nahin deti pahunchati hai wo chot ki ji rahna ho dushwar marne ko hun tayyar to marne nahin deti duniya to ye kahti hai bahut mujh mein hunar hai main chahun to duniya ko chaman-zar bana dun