dur ka safar

main nan-e-sokhta ka zaiqa
utarta hun

roz-o-shab
zaban par

ki us ki hamdami mein
dosti mein

umr ke nasheb mein
agar main dhal sakun

to fasl aaftab ka
wo barg-e-zard ban sakun

jo daere ki intiha pe sirf
mausamon ke khwab dekhta hun

subh-o-sham sochta hun
aarzu

fareb-kar shahida
kahan mili thi aur kaun se hasin mod tak

chalegi mere sath mere sath
ju-e-ab ju-e-mai

rida-e-khak
dur ke safar ke log

bad-guman saaton ke shahr
main chalunga

main dasht-o-kohsar ki
udas hijraton ko

nannhi-munni loriyan sunaunga
main jangalon ki

sansanahaton ke par jaunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close