dushmanon ke darmiyan sulh

barg-e-awara-sada aae hain
koi aawaza-e-pa lae hain

tere paigham-rasan hain shayad
aur paiman-e-wafa lae hain

guftugu narm hai lahja dhima
ab ke andaz juda lae hain

ek nadamat bhi hai pachhtawa bhi
khiffar-e-jurm-o-jafa lae hain

aankh mein ashk pashemani ke
hont par harf-e-dua lae hain

sare saman rafugari ke
jeb o daman mein utha lae hain

marham-e-zakhm ke ambar ke sath
para-e-khak-e-shifa lae hain

shakh-e-zaitun bhi ammame bhi hain
aur abaen bhi sila lae hain

hajr-e-aswad ne chhua hai jis ko
ek aisi bhi rida lae hain

kuchh madine ki khujuron ke tabaq
kasa-e-sar pe saja lae hain

ek mashkiza-e-ab-e-zamzam
pusht-e-nazuk pe utha lae hain

agle pichhle sabhi maqtulon ka
goya ki khun-baha lae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close