dusri mulaqat

kah nahin sakta kahan se aae ho, tum kaun ho
aisa lagta hai ki ye surat hai pahchani hui

khak mein raunda hua chehra magar ek dilkashi
aankh mein halka tabassum, dil mein koi tis si

panw se lipti hui bite hue lamhon ki gard
pairahan ke chaak mein gahre ghamon ki tazgi

pursish-e-gham par bhi kah sakna na apne ji ka haal
kuchh kaha to bas yahi ki tum pe kuchh biti nahin

rah mein chalte hue thokar lagi aur gir pade
yunhi kante chubh gae hain, phat gai hai aastin

yaad aata hai ki tum mujh se mile the pahli bar
ek kahani mein na jaane kis ki thi likkhi hui

aur main ne is tarah ke aadmi ko dekh kar
dil mein socha tha ki us se aaj kar lun dosti!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close