ehsas ki raat

mujhe dar hai ki kahin sard na ho jae ye ehsas ki raat
narghe tufan-e-hawadis ke hawas ki yalghaar

ye dhamake ye bagule sar-e-rah
jism ka jaan ka paiman-e-wafa kya hoga

tera kya hoga mere tar-e-nafas
tera kya hoga ai mizrab-e-junun

ye dahakte hue rukhsar
ye mahakte hue lab

ye dhadakta hua dil
shafaq-e-zist ki peshani ka rangin qashqa

kya hoga
ud na jae kahin ye rang-e-jabin

mit na jae kahin ye naqsh-e-wafa
chup na ho jae ye bajta hua saz

shamen ab kaun jalaega sar-e-sham guzargahon mein
dahr mein lutf-o-ata kuchh bhi nahin

dahr mein mehr-o-wafa kuchh bhi nahin
sajda kuchh bhi nahin naqsh-e-pa kuchh bhi nahin

mere dil aur dhadak
shakh-e-gul

aur mahak aur mahak aur mahak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close