eid ki KHushi

lo phir hamari eid aa gai hai
har ek khush hai ghar ghar khushi hai

kya qahqahe hain kya dil-lagi hai
har samt goya shadi rachi hai

munni uthegi tadke sawere
jhat-pat naha kar pahnegi kapde

kapde bhi kaise gote zari ke
resham ka jampar makhmal ke jute

pahnegi munni zewar bhi apne
zewar jo us ke abba hain lae

hathon mein kangan panw mein lachchhe
mathe pe tapka kanon mein jhumke

ammi se le kar eidi ke paise
bhayya ko degi kah kar ye un se

padh kar dogana mele mein ja ke
mere liye bhi lana khilaune

chini ki gudiyan chini ke gudde
gudiyon ke bartan gudiyon ke gahne

bhayya bhi jaldi jaenge ghar se
kapde badal kar takbir padhte

wajib dogana mil kar padhenge
khutba sunenge khamosh baithe

kar ke duaen baham milenge
ulfat ke ghunche dil mein khilenge

aaenge phir kar jab eid-gah se
le kar mithai le kar khilaune

bhai bahan sab khelenge mil ke
guzrega din phir lutf-o-khushi se

'nayyar' mubarak ye eid sab ko
ho is khushi ki phir did sab ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close