ek Dabba shair ke liye nazm

chhod de yar ab khel tamashe
dekh swang rachate apna asli chehra kho baithega

apne aap se jo ek rasmi sa rishta hai
hath us se bhi dho baithega

chhod de jhuti shahwat ke masnui dawe
ishq-o-mohabbat ke ye jali nare

lazzat bhare talazumon ke bazari nutfe
jinnati tashbihon mein in chhoti chhoti kamingiyon ke giraate haklate bute

be-mani ayyar dalilen
mange tange falsafiyon ke farzi tone

chhod tawiz aur dhage khel tamashe
banda ban ja

ab to man ja
sidhe munh ab aadam-zadon jaisi hum se baaten kar

warna jo tu nahin hai is ki naql utarte
tera munh bhi tedha-medha ho jaega

teri in jali nazmon ka tona ulta ho jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close