ek daraKHt ki dahshat

main kulhade se nahin dara
na kabhi aare se

main to khud kulhade ke phal aur aare ke daste se juda hun
main chahta hun

koi aankh mere badan mein utre
mere dil tak pahunche

koi mohtat aari
koi mashshaq hath mujhe tarash kar

mallahon ke liye kashtiyan
aur maktab ke bachchon ke liye takhtiyan banae

is se pahle
ki meri jaden budhi dadh ki tarah hilne lagen

ya meri khushk tahniyan aapas mein ragad kha kar jangal ki aag ban jaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close