ek hi rasta

mere yar
tera mera ek hi rasta hai

ki palkon se sahra ba-sahra chamakdar zarraat chun kar
sharabor mutthi mein mahfuz karte rahen

aur sar-e-sham
phaila ke in ko hatheli pe dekhen

ki aaya koi reza-e-zar bhi hasil hua ya nahin
kitab-e-muqaddar bhi naqsh-e-izafa na utre

to batn-e-tafakkur ko ummid ke nan-e-shirin se bhar kar
shagufta shuaon mein sar ko jhukae

usi apni mansub rah pe nikal jaen
palkon se zarraat chunne ki khatir

ghurub-e-shafaq tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close