ek ishq ki nasli tariKH

main us ki sansen sunghta hua
dariyaon aur maidanon mein dakhil hua tha

aur wo mujhe zarkhez zamin ki tarah mili thi
main tarik raat mein janma hua mahtab tha

aur wo shiryanon se khun uchhaal dene wali tamazat thi
main ret ki kushada-damani tha

aur us ki pusht sarma ke suraj ki tarah thi
main ed lagae hue ghode ki nangi pith par kudne wale ka beta tha

aur us ki aankhon mein
jaton ki khun-rez sadiyan chunauti deti thin

wo gunah ki tarah namkin thi
aur wo zaiqa thi jo chakkhe baghair zaban par phir jata tha

aur main us ki guddii mein dant gad dene ki hasrat mein tha
wo dharti par phaila hua sarson ka khet thi

aur us ke hath gandum katne wali man ne banae the
aur us ki naf ke gird bhara-pura shikam tha

aur us ki ghundi mein aisi jaan thi
ki us ka bap maurya ahd mein patthar chamkane ka kari-gar malum hota tha

aur us ke jism mein tawe par surkh ki hui roti ki khushbu thi
aur main aanton se ugi hui aarzu tha

aur main talwaron ki mausiqi par padha hua rajaz tha
aur main tir khae hue ghode se giri haar tha

aur wo tane se dahki hui wangar thi
aur wo aisi jit thi

jis ki yaad mein
zamin par koi lath gadi ja sakti thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close