ek manzar

pul ke us sire se aati hui
angusht chehre wali bad-surat aurat ke

latke hue pistanon par
bhinbhinati makkhiyon ki mari hui aankhon mein

sukhi nadi ke adh-mue meindakon ki sarsarahat
langde bhikari ki pasliyon ke darmiyan

hanpti ikaniyon ki
kashkoli khansi ki maili shiknon mein

rengte bichchhuon ke sae
bason taxiyon aur rickshawaon ke phisalte pahiyon tale

daudti sadkon ki ridh ki haddiyon mein
bikharti hui tirgi ka khurdura lams

meri khidki ki
chaukor udasi ke pile danton par

jami hui pidhiyon ko khurachne ki
ek aur nakaam koshish ki

siyahiyon mein gum ho jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close