ek sitara aadarsh ka

ai tamasha-gah-e-alam roe tu
mah-e-nau

hum dekhte tujh ko kis arman se
dekhte hi dekhte tahlil ho jaana tera

dekhte hum
phir bhi tujh ko dhund rahte usi

sune ufuq mein ai hilal
waqt ke dariya mein mahi-gir ne

dala hai jal
kis liye sahil ka patthar ban ke

mahi-gir
baithe hon yahan

thah mein dube hue wo mehr-o-mah
ban chuke honge ghubar-e-raegan

ya tamasha sina-e-shamshir se bahar dam-e-shamshir ka
maujon mein bahta

dekhte rahte ho tum
be-sabab aankhon se kab

yun mae chhalakti hai
nashat did ki

kaun ho tum
aur gagar apni le jati ho

kis aangan ki aur
wo suhana sa ujala

jhumta sagar ke par
gul-badaman ek aangan sham ke tare ka hai

mera nahin
wo ghana ban bhi purana aashram hai

jhilmilati os ka
mera nahin

main to gunge khak-dan ki
an-kahi

ai ajnabi
an-kahi se kahni sunni tak pahunchna

sahal kab hai
darmiyan hail milega

ek khala-e-be-karan
soch lo

hai waqt ab bhi
warna phir ai

banu-e-masum-o-zirak
ranjishen kitni khadi hain rah mein

phir na sahil tha
na wo sahil ka patthar

jo nazar aaya
wo ta-hadd-e-nazar phaila hua

ek pur-ashob-o-pur-asrar
bahr-e-na-paida kanar

hum ne insan ka janm paya
sitare ga rahe the

kis amal ke ijra mein
paya sitaro

tum ne insan ka janm
hum to insan ke janm mein bhi sitare hi rahe

be-karan nilahaton mein
ru jhamak uthti hai rah rah kar

ana
kahkashan-dar-kahkashan bikhre sawabit

aur sayyaron ke beach
fasle jazb-o-kashish ke

un ki paimuda haden
badhte badhte zari daim

banatunnash ki
ghatte ghatte warta dam-e-fana

dhum ketu be-muhaari mein magan
ek jhaala sa baras kar khul gaya chingariyon ka

kitni tahziben shahabi timtima kar bujh gain
nagriyan babul si mahwash

shahpar-e-afrashtagan uljhe hue
jin ki surili tan hain

un ki gharqabi kahani hai
purani bhi nai bhi

un ki apni aatma ki thah se
umde hue tufan hain

apni fitrat ke tajalli-zar se
tut kar girte kawakib

ja samate hain khuda jaane kahan
ja-ba-ja azdarahan kale dahane

jin ka munh sab kuchh nigal kar phir khula
der kitni ho chuki

tab kahin ja kar wo ek din ye samajh pae
ki sannata

khud apne dil ke andar ka tha
bahar ka na tha

rustgar az-panja-e-bedardi-e-lail-o-nahaar
band aankhon ke nagar mein

kaif-e-alamgir ka arman mila
jis se wawaila nashebon ka na takraya kabhi

wo auj-e-baam
sarsari us se guzar jaane mein pinhan aafiyat

ai rah-naward
ai nazar-war ai dil-asa

rauzan-e-zulmat hast-o-bud
ai paik-e-jahan-paima khizar

kil si dahliz mein paiwast ye kaisi chamak hai
dhul ajram-e-falak ki

gutthiyan mauhum si rishton ki ye kaisi hain
suljhana nahin zinhaar warna

hu ka aalam hai namudan ki
sulajh jaane ke baad

sabza-e-naurasta ke parde mein sare unch nich
patte rahne ke ai aanand

bahte paniyon ki aatma
kis ke hain ye ustukhwan

malbe mein dhalte ustukhwan
khak-e-uftada ki agli aur pichhli

har parat ke
be-zaban tamir-e-kar

mehrban sa ek tabassum
aur shaista ishaara ghar ki jaanib

jaise ghar ke baam-o-dar par ho nawishta
har sawal-e-na-shakeba ka jawab

phir udhar dekha to sab kuchh
dasht-e-ikhfa main tha adim

ghaar kutiyaen machanen
ghar gharaunde

sare aasar-o-mazahir
gunj mein apni samo kar

le udi bang chil
wo safar be-sang-e-mil

ek adhure aasmani khwab ka
un ki aankhon mein khumar

zeb-tan gard-o-ghubar
jaise mitti mein sani

dhadkanen dharti ki
nar-nari ki tajsimon mein aalam-e-ashkar

aur phir uftad par uftad
dur uftadgi

shahrahen na-tarashida sabhi khushki teri ki
aur kaghaz bhi pata ka gum-shuda

be-khabar nikle hawa-e-dasht ke jhonke sabhi
aur sahal-angar tair bhi na de pae suragh

hai kahan arfat
wo ek wadi-e-dur-daraaz

rah mein aankhen bichhae
phul nargis ke mile

rah mein mahke gulab aur rah mein lale khile
did ki lekin unhen raftar fursat bhi to de

munkashif karti hui
be-nam jal-pariyon ko

gahre paniyon mein ek lamhati tarang
be-nishan ban-basiyon par

tahniyon mein aas ke maman kisi
bhule bhatke zamzama ki rah takte

dwar khole jagte hain
raat kali barshgali

jugnuon ki na-gahan yalghaar
phir gahra andhera

aur jibillat ki athah
shaktiyon ka

ban mein dera
man mein dera

sahilon ki ret mein saunpe hue
ek wadiat ki tarah hashraat-e-ab

khol apne todte hain
aur be-rahbari hi aahista-khiram

apne man ki chandni mein
rengne lagte hain

shor-e-ab bhi kahte hain wo
ek samt hai

ek samt hai sehr-e-kashish bhi
sab dishaen na-gahan

ek sath bharti hain hunkara
bhulne lagte hain jab masum zaer

jal disha
kitne khun-alud panje

kitne khanjar ghat mein hain
phir bhi jari yatra

wo hazar be-barg-o-saman
ghar khas-o-khashak ki rachna adhuri

jis mein fitrat
jhankti rahti ki dekhe

apne aain to ufuq ka jamal
bazm-ara aaina-dar-aina

zard phulon par thirakti titliyon ka
pairahan pila sunahra

ghas par lahrae tiddon ki hari dhani qaba
rangrezi dahr ke is daur ki

guzra hai jo
rafta-ziyaad

jab na tha insan ka mazkura ashiya mein shumar
is taraf pahle kabhi dekha na tha

ab jo dekha hai to jaise
phir sira aaghaz ka hath aa raha hai

ye wahi anjam hai
dhadka tha jis ka

hast-o-bud insan ki jab dahr mein thi beshanakht
rahin-khana

khanaman-barbaad ai bang-e-rahil
tu ne dekha hai kabhi

shaffaf uthle paniyon ki tah mein
munge ke jaziron ka dayar

wo samay ki niw thi garm-o-gudaz
muddaton tamir ki diwar apni

sada dil aangan ne jis par
ye tabassum bhi kise milta hai

jis ke soz se
madan zar-e-gul ka pighalta hi raha

sanchon mein dhalta hi raha
naslon ka faulad-e-garan

khanaman-barbaad ai bang-e-rahil
zanan-e-misr

ek ibrani payambar-zada ko
hum ne jis ghar ka bharam rakhne ki khatir

dakhil-e-zindan kiya tha
kaise aakhir us ko bait-e-ankabut

man len hum be-dalil
wo haqiqat ki silon par

qaem ek tamir kaisi thi
wo saqf-o-baam kaise the tujhe malum kya

mahfilen aarasta pairasta
jin ka tahammul sehr-kar

khushbuon ke tane-bane bunne wale
mujmiron ki dhwaniyon se aaj bhi

mahke mahke hain tamaddun ke dayar
aaj bhi aasar dete hain gawahi

naqsh-kari kaisi anmit thi wo
qismat ki lakiron se judi

hum ne ibrani payambar-zadon se
patthar tarashwae ki baad-az-marg bhi

paya-e-ahram mein pinhan rahe ghar ki asas
lal-o-gauhar khazane

shahd-o-gandum se zuruf uble hue
takht-o-taj-o-mohr-e-shahi ke nigahban

harba-ha-e-ahan-o-faulad
aur daste ghulaman-e-jawan ke

kahinon ki phunk
hamanon ki tadbir-e-siyasat mein zahr-e-halahil

pasbani mein magan
so rahe hain an-ginat firaun

ai baad-e-saba aahista chal
bang-e-rahil

shewan tauq-o-salasil
kakh-o-aiwan se nikal kar

ku-ba-ku
yam-ba-yam dariya-ba-dariya ju-ba-ju

wo bisat-e-raqs darbaron se ho kar
phailti daftar-ba-daftar

anjuman-dar-anjuman ghar ghar bichhi
patti patti mein utar aai thi kadwahat

jaden thin nim ki
ai rahin-khana

kya tujh ko sunai di kabhi
is dua ki gunj

jis ko sun ke wo taswir-e-ab
nil

shahi qasr ki
dubi dubi sidhiyon se dur

thathen marta
dariya-e-na-paida kanar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close