election ke din

sunaen tumhein baat ek raat ki
election ke din ki siyah raat thi

wo woton ki ginti wo hullad wo shor
the jama wahan par kai wote chor

machi ek halchal si elan se
ki jite hain buddhu badi shan se

nazar aae dale gale mein wo haar
the pitthu bhi hamrah un ke hazar

kai chaunk utthe unhen dekh kar
ki the film ke actor beshtar

shri buddha rae wo mashhur hain
siyasat mein aa kar wo maghrur hain

padi ek ladke ki un par nazar
pakad hi liya bhid mein daud kar

kaha mere hero zara nachiye
wo filmi kathaen zara banchiye

flat aap ka hai bada shandar
badalte hain har sal aala si car

giraenge kitne gharibon ke ghar
gharibi ko roenge phir baith kar

ye mana ki unche adakar hain
gharibon ke dukh se khabar-dar hain

jahezi chitaon ka uthta dhuan
sunata dukhon ki hai kya dastan

kai bar aai hai filmi qaza
aji jite ji maut kya hai bhala

diya sun ke neta ne us ko jawab
siyasat ki bazigari hai janab

ki zarre ko chamkae jun aaftab
siyasat ka hai ab to khana-kharab

adakar filmi hain hum to magar
nahin hum se kam ye purane magar

magarmachh ke aansu bahate hain sab
nigal kar ye janta ko khate hain sab

uchhal kud kar daud kar bhag kar
dikhate hain janta ko apna hunar

ye hum se bhi badh kar adakar hain
ye jo des-bhagti ke autar hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close