gandhi

ek faqir
ek insan paikar-e-ikhlas ruh-e-rasti

ek faqir-e-be-nawa isar jis ki zindagi
jis ke har qaul-o-amal mein amn ka paigham tha

jis ka har iqdam goya aafiyat-anjam tha
jis ki duniya bandagi bhagti surur-e-jawedan

jis ki duniya kaif-o-sarmasti ki hasil be-guman
aashti thi jis ki fitrat jis ka mazhab pyar tha

khidmat-e-insaniyat ka jo alam-bardar tha
azm ne jis ke har ek mushkil ko aasan kar diya

jazba-e-ehsas-e-khuddari bashar mein bhar diya
naz uthae hind ke wo hind ka gham-khwar tha

karwan-e-hurriyat ka rahbar-o-salar tha
ye bhi hai mojiz-bayani us ki har tahrir ki

naqsh-e-farsuda se paida ek nai taswir ki
khak se shoale uthe aur aasman par chha gae

mah-o-anjum ban gae kaun-o-makan par chha gae
tirgi bhagi jahaalat ki faza chhutne lagi

haule haule tira-o-tarik shab katne lagi
har taraf kaif-o-masarrat har taraf nur-o-surur

ghunche ghunche par tabassum chashm-e-nargis par ghurur
ye fusun-kari hui jis ke sabab wo kaun tha

ye junun-kari hui jis ke sabab wo kaun tha
nam tha gandhi magar us ke hazaron nam hain

ek mai-khana hai jis mein har tarah ke jam hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close