ghaalib

bayan-e-'ghaalib'-e-rangin-nawa hai
qalam shair ka sajde mein jhuka hai

pae tazim saf-basta hain alfaz
dil-e-shair mein ek tufan bapa hai

aqidat us se har ahl-e-nazar ko
ki wo fikr-o-nazar ka rahnuma hai

wo ghaalib wo shahanshah-e-maani
wo 'ghaalib' jis ki azmat ghair-fani

salasat aur fasahat allah allah
ki dariya-e-sukhan mange rawani

bahut ustad-e-shah the aur honge
magar hoga na koi us ka sani

zarafat us ki fitrat ka taqaza
matanat us ke fikr-o-fan ka jauhar

mohabbat ruh us ki shairi ki
kahan honge bhala aise sukhnawar

zamana kis liye us ko mitata
wo insan tha na tha harf-e-mukarrar

zaban us ki zaban-e-zindagi hai
bayan us ka bayan-e-agahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close