ghunda

maut banduq liye phirti hai
gali-kuchon mein dandanati hai

kan mein sitiyan bajati hai
aasman nak par uthati hui

thokaron se zamin udati hui
takhtiyan ghaur se padhti hai sab makanon ki

galiyan bakti guzarti hai har mohalle se
rezgari bhi churaati hai roz galle se

maut banduq liye phirti hai
koi ghar se nikal nahin pata

us ke dar se nikal nahin pata
badi dahshat hai us ki ghar ghar mein

maut jaise ki gali ka dada
jo kisi dusre mohalle se

bhatta lene ko jo aaya to palat kar na gaya
rose galiyon mein aa nikalti hai

sab dukanon mein parchi girti hai
maut banduq liye phirti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close