guDiya ki shadi

meri gudiya kisi din chand par shadi rachaegi
zamin ke to sabhi gudde nazar aate hain ab buddhe

bahut hi khubsurat naujawan hain chand ke gudde
unhin mein se kisi ke ghar meri gudiya bhi jaegi

meri gudiya kisi din chand par shadi rachaegi
farishte aasmanon se baraati ban ke aaenge

sitare raste mein nur ki chadar bichhaenge
khushi se jhum kar har hur shahnai bajaegi

meri gudiya kisi din chand par shadi rachaegi
hasin kirnon se raushan chandni ki palki hogi

zamin se aasman tak raushni hi raushni hogi
meri gudiya jab apne ghar se rukhsat ho ke jaegi

meri gudiya kisi din chand par shadi rachaegi
nazar aaegi jab us ko meri pyari si ye gudiya

balaen par balaen legi badh kar chand ki budhiya
dulhan ko dekh kar dulhe ki qismat jagmagaegi

meri gudiya kisi din chand par shadi rachaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close