gum-shuda aadmi ka intizar

lahu-nosh lamhon ke bedar sae
use gher lenge sinanen uthae

tamazat-zada shab zan-e-bakara si
simat jaegi aur bhi apne tan mein

wo suraj ka sathi andheron ke ban mein
asasa liye fikr ka apne fan mein

shuaon ki suli pe zinda tanga hai
na ab shahr mein koi itna hazin hai

ghazabnak tanhaiyon ko yaqin hai
ki us ke muqaddar mein wo khud nahin hai

wo ek infiradi haqiqat ka hami
fasilon pe wahm-o-guman ki khada hai

shahr-zad shabnam se ye puchhta hai
ki suraj ke sine mein kya kya chhapa hai

magar sham ki surkh aankhon ne is par
hamesha sulagti hui rakh dali

tah-e-atish-e-srukh-ru wo sawali
ki jis ne hatheli pe sarson jama li

kisi dewta ki nigah-e-ghazab se
bana ajnabi apne aabaad ghar mein

kabhi is nagar mein kabhi us nagar mein
kabhi bas gaya sirf diwar-o-dar mein

wo ek shakhs tanha ki jis ka abhi tak
safar hai musalsal na ghar mustaqil hai

faqat pas mein us ke masum dil hai
magar kis qadar muztarib muzmahil hai

jo shahr-e-ana mein khada sochta hai
kahan raat kate kahan din bitae

hatheli pe duniya ka naqsha banae
bhatakta hai wo aaj bhi chot khae

are gum-shuda aadmi aa ke mil ja
are gum-shuda aadmi aa ke mil ja


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close