harf-e-aKHir

ye aadmi ki guzargah-e-shahrah-e-hayat
hazaron sal ka bar-e-garan uthae hue

jabin pe katib-e-taqdir ki jali tahrir
gale se saikdon naqsh-e-qadam lagae hue

guzarte waqt ke gard-o-ghubar ke niche
hasin jism ki tabindagi chhupae hue

guzishta daur ki tahzib ki manazil ko
jawan man ki tarah god mein sulae hue

ye aadmi ki guzargah-e-shahrah-e-hayat
hazaron sal ka bar-e-garan uthae hue

idhar se guzre hain changez-o-nadir-o-taimur
lahu mein bhigi hui mishalen jalae hue

ghulamon aur kanizon ke karwan aae
khud apne khun mein dube hue nahae hue

shikasta dosh pe diwar-e-chin ko lade
saron pe misr ke ehram ko uthae hue

jalal-e-shaikh-o-shikoh-e-barhamani ke julus
hawas ke sinon mein aatish-kade chhupae hue

jahaalaton ki tawil-o-ariz parchhain
tawahhumat ki tarikiyan jagae hue

safed qaum ke ayyar tajiron ke giroh
fareb-o-makr se apni dukan sajae hue

shikast-khurda siyasi gadagaron ke hujum
adab se tuti hui gardanen jhukae hue

ghamon se chur musafir thake hue rahi
charagh-e-ruh ke dil ke kanwal bujhae hue

ye aadmi ki guzargah-e-shahrah-e-hayat
hazaron sal ka bar-e-garan uthae hue

nae ufuq se nae qafilon ki aamad hai
charagh-e-waqt ki rangin lau badhae hue

baghawaton ki sipah inqalab ke lashkar
zamin pe panw falak pe nazar jamae hue

ghurur-e-fath ke parcham hawa mein lahraate
sabaat-o-azm ke unche alam uthae hue

hatheliyon pe liye aaftab aur mahtab
baghal mein kurra-e-arz-e-hasin dabae hue

utho aur uth ke inhen qafilon mein mil jao
jo manzilon ko hain gard-e-safar banae hue

qadam badhae hue hain mujahidan-e-watan
mujahidan-e-watan hain qadam badhae hue


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close