hum to ja chuke jaanan

ab ye kaisi uljhan hai
ab ye kaisa jhagda hai

baat thi mohabbat ki
aur tum mohabbat par

ek hi mohabbat par
kab yaqin rakhte the

tum to har ghadi apni
dil-barana aankhon mein

ek nai rifaqat ka khwab le ke uthte the
aur apni shamon mein

apne khwab-o-khwahish ke
be-libas jazbon ko

shauq se sajate the
aur aise aalam mein

jism-o-jaan ke mausam mein
ek hum hi uljhan the

hum to ja chuke jaanan
dil pe bewafai ke

zakhm kha chuke jaanan
ab ye kaisi uljhan hai

ab ye kaisa jhagda hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close