internet-asthan ki malika

internet-asthan pe baithi khwab ki malka!
makhmal si poron se kitne roz bunogi?

khwab ki rekha
rang-rangile bair-bahuti jaise lafzon ki angnai

jalti-bujhti taswiron ki khwab-sarai
sabit anguron ke danon jaisi

duniya ki ye hosh-ruhai
tanhai ki gagar se phir lamha chhalka

internet-asthan pe baithi khwab ki malka!
dur kisi cafe mein baithe

khwahish aur mohabbat ke ye ujle sign
ye jalte honton ke khat

ye hansna rona
sab kuchh aadha sach hai

aadhe sach mein dub marogi
gorakh-dhanda bas ek pal ka

internet-asthan pe baithi khwab ki malka!
chating room mein

sard dilon ke rash mein ghutti sansen
insanon ke chehre pahne

jazbe khaen ruh chabaen
tanhai ke rup rangile raqs dikhaen

harfon ke bujhte angare
kitne din tak aur chunogi?

pyas to mange rasta jal ka
internet-asthan pe baithi khwab ki malka!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close