is waqt ghazal ki baat na kar

santan hanse to kaise hanse
is waqt hai mata khatre mein

sansar ke parbat ka raja
hai apna himala khatre mein

hai samna kitne khatron ka
hai desh ki sima khatre mein

ai dost watan se ghat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar

mehndi hui pili kitnon ki
sindur lute hain kitnon ke

hain chudiyan thandi kitnon ki
arman jale hain kitnon ke

is chin ke zalim hathon se
sansar phunke hain kitnon ke

muskan ki tu barsat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar

mat kat kapat kar mata se
dena hai jo kuchh iman se de

ye parashn watan ki laj ka hai
ji khol ke de ji jaan se de

gauraw ki hifazat kar apne
de dhan bhi to pyare aan se de

tu dan na de khairaat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar

jis ghar mein barasta tha jiwan
chhai hai wahan par virani

bewa huin kitni sundariyan
mare gae kitne senani

kyun josh nahin aata tujh ko
hai khun ragon mein ya pani

aazadi ke din ko raat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar

sunte hain musibat aaegi
aaegi to dekha jaega

jis ne hamein kayer samjha hai
us desh se samjha jaega

har shokh ada se khel chuke
ab khun se khela jaega

aise mein hamein be-hat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar

ab band pe gaya jaega
ye saz na chhede jaenge

le rakh de thikane se ye ghazal
marne se bache to gaenge

hai sath hamare sachchai
hum pa ke wijay muskaenge

jiti hui bazi mat na kar
is waqt ghazal ki baat na kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close