jashn-e-masarrat

yun jashn-e-masarrat ki har samt ghata chhai
phulon pe nikhaar aaya kaliyon ko hansi aai

shadab hui kheti faslon pe bahaar aai
bahti hui nadiyon ne ki baadiya-paimai

bapu ke ahinsa ki nehru ke takhayyul ki
tanwir nazar aai taswir nazar aai

zehnon se jahaalat ki zulmat ko mita dala
ab ilm ke suraj ki ghar-ghar mein kiran aai

science mein hirfat mein hasil hui yaksui
is daur mein bhaarat ne har fan mein jila pai

ab dil mein umangen hain nazron mein masarrat hai
har samt hai zebai har samt hai ranai

duniya ki nigahen bhi pa-bos-e-qayaadat hain
is bint-e-jawahar ki allah re masihai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close